,

Talaash Quotes

Quotes tagged as "talaash" Showing 1-4 of 4
“Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai..
Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...

Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa..
Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai...

Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath..
Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai...

Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ...
mujhe ek bhi nai mila, lagta hai nasamajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai...

Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Mehram..
Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai...

Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe..
Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai...

Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri..
Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai..

Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar...
Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai...

Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai
Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...”
Jasz Gill

“Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaari baatein sune,
Khud ko aisa banao,
Shayd tumse milkar kisi ke dil ka Bojh halka ho jaye....

Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaare aansoo poche,
Khud ko aisa banao,
Shayd tumse milkar koi ghut ghut kar marne se bach jaaye....

Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhe har duaa me yaad kre,
Khud ko aisa banao,
Shayd tumse milkar kisi ki duaa Mukammal ho jaye....

Talaash na kro kisi ki, Ke wo tumhaare saath har pal Khada rhe,
Khud ko aisa banao,
Shayd tumse milkar kisi ki Haari hui zindagi me fir ek Ummeed bhar jaaye....

Talaash na kro kisi Achhe insaan ki,
Khud ko aisa banao,
Shayd tumse milkar, Kisi ki talaash poori ho jaye......

Continued
*- - - - - - - - - - - - - - - - - - - -*
Aamir Sarfraz”
Aamir Sarfraz

“Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha
Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha

Mein Us-Se Bas Sach Sunna Chahata Tha
Aur Wo Mujhe Jooth Bolne Ki Talaash Mein Tha

Wo Mere Khayalo Ke Ehsas Mein Tha
Wo Chup Raha Jab Mere Paas Mein Tha”
Aamir Sarfraz

“Insaan Bhi Kitne Ajeeb Hotey Haan,
Kabhi Khud Ko Dusro Mein Talaashtey Haan,

Toh Kabhi Dusro Ko Khud Mein Talaashtey haan...
Par Kabhi Khud Ko Khud Mein Nahi talaashtey..

Insaan Bhi Kitne Ajeeb Hotey Haan”
Aamir Sarfraz